Thursday, April 14, 2011

Jazbaat: Adhoora Chod Gaya Humko

Jazbaat: Adhoora Chod Gaya Humko: "Tamanna Thi Unke Sang Waqt Bitane Ki Par Is Waqt ne hi hamara sath na diya Intezar Hamne Kiya Jis Pal Ka Khuda ne wo Pal Kisi aur ko diya S..."

Adhoora Chod Gaya Humko

Tamanna Thi Unke Sang Waqt Bitane Ki
Par Is Waqt ne hi hamara sath na diya
Intezar Hamne Kiya Jis Pal Ka
Khuda ne wo Pal Kisi aur ko diya

Socha Tha Yeh Zindagi Sang Unke bitayenge
Koi Gam Koi Dard na unko chune payenge
Apne liye mangi hui dua kab sach hoti hai
Jaane ab kab unka didar kar payenge

Karte hai intezar hm ab bhi unka
jaane kab wo is raah nikal aaye
kam se kam dekh to lenge unhe
Kya pata unhe hamari pehchan ho jaye

Bhule se bhi Na bhule hum unko
Chahe bhula diya ik pal rab ko
bhule se bhi unhone hame yad na kiya
bhul gaye wo sang bitaye har ek pal ko

Kya Hua yeh hamare sath koi bataye humko
Pyar karne ki saza, Ya Pyaar Pane ki saza samjhoo
Kuch Bhi Ho Yeh Par maine sweekar Kiya
Khuda ka ek paigam samjh ke seene se laga liya

Par Poora Karke Bhi Pyar Kuch Adhoora Chod Gaya Humko
Poora Karke Bhi Pyar Kuch Adhoora Chod Gaya Humko